Articles by "Ghazal's"

Showing posts with label Ghazal's. Show all posts

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai,
Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai,

Mere ishq mein shayed koi kami huyi ho,
Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai,

Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed woh,
Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai,

Dil mera veeran hua to hasrat kesi,
Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai,

Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye,
Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai,

Tere lamss ka jadu bhi kesa jadu hai,
Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai,

Tera chahra har chehre per chaa jata hai,
Yeh manzar har manzar aujhal kar deta hai,

Aankh ke registaa’n ko teri yaad ka badal,
Chuu jaye to pal mein jal’thall kar deta hai.

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye,
Ab Grammer Ka Yehi Kanoon Hona Chahiye,

Nursery Ka Daakhla Bhi Ab Sar’sari Mat Janiye,
Aap Ke Bache Ko Aflaatoon Hona Chahiye,

Raat Ko Bache Parhayi Ki Aziyat Se Bache,
In Ko TV Ka Bohat Mamnoon Hona Chahiye,

Doston English Zaroori Hai Hamare Wastey,
Fail Honey Ko Bhi Koi Mazmoon Hona Chahiye,

Sirf Mehnat Kya Hai Anwar Kamyaabi Ke Liye,
Koi Ooper Se Bhi Telephone Hona Chahiye..

(khatoon;lady)(sar’sari;easy)(mamnoon;thankfull)

Umer Raaigaan Kardi Tab Ye Baat Maani Hai

Mout Aur Mohabbat Ki Ek Hee Kahani Hai

Khail Jo Bhi Tha Jaana.n Ab Hisaab Kia Karna

Jeet Jis Kisi Ho Ham Ne Haar Maani Hai

Vasl Per Bhee Naadim Thay Hijr Per Bhi Sharmindah

Wo Bhi Raaigaani Thi Ye Bhi Raaigaani Hai

Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta

Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hai

Jaanay Kon Shehzaadah Kab Chura Ke Le Jaaye

Wo Jo Apne Aangan Mein Khusbuoun Ki Rani Hai

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou

Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin

Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein

Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De

Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina

Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Meri tanhai barhate hain chale jate hain,

Hanss talaab pe ate hain chale jate hain,

Is liye ab mein kisi ko nahin jane deta,

Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain,

Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushu,

Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain,

Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai,

Aap aate hain rulate hain chale jate hain,

Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne,

Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain,

Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan,

Aap to aag lagate hain chale jate hain,

Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya,

Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain..

Abbas Tabish

Pani ankh mein bhar ker laya jasakta hai

Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai

Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat

Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai

Dil per paani peeney ati hain umeedien

Is chashmey mein zeher milaya jasakta hai

Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon

Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai

Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao

Esa zakham to dil per khaya jasakta hai

Phatta purana khawb hai mera phir bhi tabish

Is mein apna aap chupaya jasakta hai

Paikar tha wafa ka, mohabbat ka khuda tha,

Woh shakhss zamaney mein sab se hi juda tha,

Chahat ke khazaney they har lafz mein us ke,

Daaman mera us ne duaaon se bhar tha,

Mujh ko nahin dekha karri dhoop ne chu kar,

Baba mera duniya main mujhe aesa jo mila tha,

Fikrain na zamaney ki kabhi paas bhi ayin,

Hard dard meri hasti se dartaa hi raha tha,

Jab taka raha saanson ka basera mere baba,

Tab tak main ghamon se bachta hi raha tha,

Us shaam ki hiddat mere dil se nahin jati,

Jis shaam tera saaya mere sar se utha tha..

Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin,

Ab yeh kehti ho “mere khat mujhe wapis kar do”,

Main safaayi koi doon ga na wazaahat doon ga,

Tum ko wapis main tumhari yeh amaanat doon ga,
Phir kabhi tumse na milney ki zamanat doon ga,

Bas tumhe tark-e-marasim pe yeh zehmat doon ga,

Tum ho bechain to mein bhi koi masroor nahin,

Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin,

Ab yeh kehti ho “mere khat mujhe wapis kar do”..!

Judaa bhi honay ka andheshaa seh nahin saktey,

Hum aik sheher mein ab khush bhi reh nahin saktey,

Yeh roz-o-shab hain hamarey ke aik dusrey se,

Chupaye phirtey hain ehwaal, keh nahin saktey,

Shakist-e-zaat ka izhaar chahtey bhi nahin,

Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahin saktey,

Haqeeqton ki chattanain bhi apni raah main hain,

Khayal-o-khawb ke daryaa main beh nahin saktey,

Woh be’qasoor hai, aesi bhi koi baat nahin,

Qasoor’waar hain hum, yeh bhi keh nahin saktey..

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar

vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga

meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai

vahi champai ujale vahi surmai dhundalake

koi phul ban gaya hai koi chand koi tara

jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k

mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo

vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila

ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k.!

Mujh Ko Begaana Kar Gaye Mere Din

Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din

Ab Na Koi Din Mere Ghar Jaye Ga

Jaanay Kis Ke Ghar Gaye Mere Din

Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat

Ke Mujh Hee Ko Basar Gaye Mere Din

Saari Raatain Gayin Meri Be-Haal

Mere Din ! Be-Asar Gaye Mere Din

Khosha Ab Intezaar Hai Na Umeed

Yaar Yaaran ! Sudhar Gaye Ab Din

Ab Mein Bas Reh Gaya Hun Raaton Mein

Mar Gaye “Jhon” ! Mar Gaye Mere Din

Tujh se gilay karoon tujhe janaa’n manaaon main,

Ik bar apne aap mein aaon to aaon main,

Dil se sitam ki be’saro kaari hawaa ko hai,

Woh gard urraa rahi hai ke khud ko ganwaaon main,

Naadim hoon woh ke jis pe nadaamat bhi ab nahin,

Woh kaam hain ke apni judai kamaaon main,

Kyon’kar ho apne khawab ki aankhon mein wapsi,

Kis taur apne dil ke zamamon mein jaaon main,

Ik rang si kamaa’n ho khushbu sa ik teer,

Marham si ik wardaat ho aur zakham khaon main,

Shikwa sa aik dareecha ho, nasha sa ik sakoot,

Ho shaam aik sharab si aur larr’khraon main,

Phir is gali se apna guzar chahta hai dil,

Ab is gali ko kaunsi basti se laaon main.!

Kaisa dil aur uske kya gham jee,

Yu’n hee baatain banaatey hain, hum jee,

Kya bhalaa aasteen aur daaman,

Kab se palkein bhi ab nahi nam jee,

Ussey ab koi baat kya kerna,

Khud se bhi baat kije kam-kam jee,

Dil jo dil kya tha, ek mehfil tha,

Ab hai darham jee aur barham jee,

Baat be-tour ho gayi shayad,

Zakhm bhi ab nahi hai, marham jee,

Haar duniya se maan le shayad,

Dil, hamaare mein ab nahi, dam jee,

Hai yeh hasrat ke zibah ho jaun,

Hai shikan is shikam ki zaalam jee,

Kaise aakhir na rang khele’n hum,

Dil lahoo ho raha hai, jaanam jee,

Hai kharaaba yeh husniya apna,

Roz majlis hai aur maatam jee,

Waqt dam bhar ka khel hai usme,

Besh az besh hai, kam az kam jee,

Hai azal se abad talak ka hisaab,

Aur bus ek pal hai peham jee,

Be-shikan ho gayi hai woh zulfein,

Is gali mein nahi rahe kham jee,

Dasht-e-dil ka ghazaal hee na raha,

Ab bhalaa kis se kijiye ram jee…

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,

Zara se lafzz main kitna paighaam likha hai,

Yeh teri shaan ke shayaa’n nahin lekin majboori,

Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai,

Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se,

Labon ko pankhrri*, zulfon ko mene shaam likha hai,

Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi,

Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai,

Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona,

Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai,

Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon,

Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai..

(pankhrri;petal)(buut;idol)(pujaari;worshiper)

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay

Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay

Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ?

Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay

Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas

Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay

Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga

So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay

Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”

Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay ?

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,
Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye,

Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera,
Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye,

Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi,
Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye,

Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par,
Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye,

Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab,
Us se keh do woh mera dil na jalaney aye,

Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha,
Chott khayi to mere hosh thikaaney aye,

Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel,
Woh mussawar* meri tasveer bananey aye..

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho

So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup Raho

Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke Bagair

Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao, Chup Raho

Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain Mohtasib

Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho

Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam Hai Ye

Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao, Chup Raho

Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham Baithay Howay

Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup Raho

Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha Jaaye Ga

Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup Raho

Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko Ay Qateel

Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup Raho

Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main,

Lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hoon main,

Mein khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf,

Apne badan ki kabr mein, kab se garrhaa hoon mein,

Kis kis ka naam laaon zubaan par ke tere saath ,

Har roz ek shaks neya dekhta hoon ,

Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam ,

Duniyaa samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon main,

Le mere tajrubon se sabak, aye mere raqeeb,

Do-chaar saal umar mein, tujhse barra hoon main,

Jaaga huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”,

Soney se pehlay roz, jisey dekhta raha hoon main.!

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay

Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay

Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat

Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay

Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki

Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay

Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein

Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay

Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu

Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay

Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko

Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay

Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel”

Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay.!

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.