Articles by "Qateel Shifai"

Showing posts with label Qateel Shifai. Show all posts

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,

Zara se lafzz main kitna paighaam likha hai,

Yeh teri shaan ke shayaa’n nahin lekin majboori,

Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai,

Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se,

Labon ko pankhrri*, zulfon ko mene shaam likha hai,

Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi,

Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai,

Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona,

Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai,

Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon,

Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai..

(pankhrri;petal)(buut;idol)(pujaari;worshiper)

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay

Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay

Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ?

Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay

Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas

Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay

Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga

So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay

Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”

Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay ?

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,
Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye,

Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera,
Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye,

Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi,
Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye,

Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par,
Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye,

Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab,
Us se keh do woh mera dil na jalaney aye,

Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha,
Chott khayi to mere hosh thikaaney aye,

Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel,
Woh mussawar* meri tasveer bananey aye..

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho

So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup Raho

Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke Bagair

Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao, Chup Raho

Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain Mohtasib

Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho

Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam Hai Ye

Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao, Chup Raho

Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham Baithay Howay

Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup Raho

Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha Jaaye Ga

Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup Raho

Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko Ay Qateel

Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup Raho

Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main,

Lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hoon main,

Mein khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf,

Apne badan ki kabr mein, kab se garrhaa hoon mein,

Kis kis ka naam laaon zubaan par ke tere saath ,

Har roz ek shaks neya dekhta hoon ,

Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam ,

Duniyaa samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon main,

Le mere tajrubon se sabak, aye mere raqeeb,

Do-chaar saal umar mein, tujhse barra hoon main,

Jaaga huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”,

Soney se pehlay roz, jisey dekhta raha hoon main.!

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay

Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay

Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat

Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay

Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki

Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay

Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein

Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay

Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu

Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay

Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko

Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay

Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel”

Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay.!

Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe..

Kay sang tujh pe girain aur zakham aye mujhe..

Main ghar se teri tamanna jub pehan k niklun..

Barhana shehr main koe nazar na aye mujhe..

Wo mera dost hai saray jahan ko hai maloom..

Dagha karay wo kisi se to sharm aye mujhe..

Wo mehrbaan hai to iqraar kyu nahi kerta..

Wo bdguman hai to so bar azmaye mujhe..

Main apni zaat main neelam horaha hun QATEEL,

Gham-e-hayaat se keh do k kharid laye mujhe..

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.