Articles by "Ibn-e-Insha"

Showing posts with label Ibn-e-Insha. Show all posts

Insha G utho ab kooch karo..

Iss shehr me g ka lagana kya

Wehshi ko sukoon se kya matlab

Jogi ka nagar me thikana kya

Iss dil k darida daman me

Dekho to sahi socho to sahi

Jis jholi me sou chhaid huay

Uss jholi ka phailaana kya

Shab beeti,chaand bhi doob chala

Zanjeer parri darwazy par

Kyun dair gaey ghar aaey ho

Sajni se karo gay bahaana kya

INSHA G utho ab kooch karo

Iss shehr me G ka lagaana kya…

Dil hijr k dard se bojhal hai, ab Aan milo to behter hai,

Is baat se hum ko kya matlab, yeh kaise ho yeh kyun kar ho?

Ik bheek k donon kaasay hain, ek pyaas k donon pyaase hai,

Hum khaiti hain, tum baadal ho, hum nadiya hain tum saagar ho!

Yeh dil hai k jalte seene mein, ik dard ka phora alhar sa,

Na gupt rahe na phoot bahe, koi marham ho koi nishtar hai,

Hum saanjh samay ki chhaya hain, tum charhti raat k chandar maan

Hum jaate hain, tum aate ho, phir mail ki soorat kyun kar ho!

Ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khaali hai,

Chal basti mein banjaara ban, chal nagri mein saudagar ho,

Jis cheez ki tujh ko nisbat hai, jis cheez ki tujh ko chahat hai,

Woh sona hai woh heera hai, woh maati ho ya kankar ho,

Ab Insha ji ko bulana kya, ab pyar k deep jalana kya

Jab dhoop aur chhaya ek se hon, jab din aur raat barabar ho,

Woh raaten chaand k saath gayin, woh baatein chaand k saath gayin,

Ab sukh k sapne kya dekhein, jab dukh ka sooraj sar par ho…

(Judai:Separation)(Mail:Meet)(Phora:Pimple)(Rutba:Stage,Level)

Dil dard ki shiddat se khoon-gashta-o-see paara,

Is sheher mein phirta hai ek wehshee-o-awara,
Shayar hai ke aashiq hai, jogi hai ke banjara,
Darwaza khula rakhna,

Seene se ghata uthe, aankhon se jhari barse,

Phaagan ke nahi badal, jo chaar ghadi barse,
Barkha hai ye bhaado ki, barse to badi barse,
Darwaza khula rakhna,

Aankhon mein ek alam, aankhon mein to duniya hai,

Honthon pe magar mohrein, munh se nahi kehta hai,
Kis chiz ko kho baitha hai, kya dhundne nikla hai,
Darwaza khula rakhna,

Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori,

Sajan hai, tera sajana, ab tujhse to kya chori,
Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori,
Darwaza khula rakhna,

Shikwon ko utha rakhna, aankhon ko bichha rakhna,

Ek shama dareeche ke chaukhat pe jala rakhna,
Mayoos na phir jaaye, haan paas-e-wafa rakhna,
Darwaza khula rakhna darwaza khula rakhna.

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.